Mobile Application Bana Kar Pesa Kese Kamaye
Hello gaye,s
Aapka humari website par swagat hai.Humare blog par aapko wo sab jaankari milegi jo aapke bahot kam ki hogi. Aaj ka humara topic hai, Apne Android Apps se paise kaise kamaye.
Aaj ke time mai ye toh aapko pata hoga ki Android phone use karne waalo ki sankhya kitni badh chuki hai. Hum agar India ki hi bat kare toh India mai bhi jyadatar log Android phone hi use kar rahe hai. Android phone humari zindagi ka hissa ban gaya hai. Aaj hum har wo kam ghar se hi anpne Android phone se aasani se kar sakte hai aur agar hume koi bhi software ya phir aur kisiki bhi jaankari chahiye toh hum uski app download karke waha se jaankari aasani se le sakte hai.
lekin mai yaha aapko batana chahunga ki aap bhi apni khud ki Android appbanakar Google PlayStore mai publish kar sakte hai aur usse paise bhi kama sakte hai.Waise aaj ki bat ki jaaye toh jyadatar log Android app isliye banate hai taki wo bhi apni App se paise kama sake. Toh aap bhi apni Android app banakar ache paise kama sakte hai.
Android Apps se paise kamane ke liye aapko sabse pahele iska acha knowlege hona bahot hi jaruri hai. Puri tarah jaankari hone ke bad hi aap isse ache paise generate kar sakte ho. Agar aapko iski bilkul bhi jaankar nahi hai toh aap iski jaankari google par search karke le sakte hai aur Android app kaise banate hai wo waha aasani se sikh sakte hai.
Android app banane ke bad aapko app ko Google play store mai publish karna hoga. Iske liye aapko Google Play Developer Console mai jaakar apna publisher account banana hoga. Iske liye aapko waha sirf ek baar ke liye 25 $ dene honge.
Toh chaliye jaante hai kaise kamate hai Apni Android App se paise.
Android App Se Paise Kaise Kamaye?
Android App banakar paise kamana koi bhi mushkil kam nahi hai.Bahot log monthly apne Android App se ache paise kama bhi rahe hai. Jab wo kama sakte hai toh aap bhi kama sakte hai. Yad rakhiye kabhi bhi life mai hope mat chodiye aur apna goal set karke kam kare. Taaki aap ek din success ho sake. Aaiye jaante hai kaise Android app se paise kamate hai.
Mai aapko yaha 2 most important tarike bata raha hu Android se kamane ke liye. Aap in 2 tariko se apne Abdroid app se aasani se paise kamana chalu kar sakte hai.
• Admob- Apna publisher account banane ke bad publish kare. Aur dhire dhire jyada Apps banankar publish kare.
Jab aapke Android App par kam se kam 1,000 download ho jaaye tab aap Admob ke liye apply kar sakte hai.Iske liye aapke pas Approved Google Adsense account hona chahiye. Agar aapke pas Approved Google Adsense account nahi hai toh aap Admob se hi Google Adsense account ke liye apply kar sakte hai.
Admob account approved hone ke bad aap waha Banner ads aur Interstitial ads lagakar paise kamana chalu kar sakte hai.
• Paid Apps- Aap free apps ke sath sath paid apps bhi download karne ke liye price set kar sakte hai matlab jab koi bhi aapki apps ko download kare toh usey us aaps ko download karne ke liye payment karna pade. Mera manna toh yahi hai ki jyada visitors free apps hi download karna pasand karte hai.
Agar aap chahe toh aapne Apps se apna khud ka ya Affiliate ke products bhi sell kar sakte hai aur paise kama sakte hai.Lekin ek bat ka aapko dhyan rakhna hoga ki Google play store par Affiliate products ko promote karna Google ke guidelines ke khilaaf hai.Isliye aisa karne se pahele apne Affiliate se permission jarur se lele.
Final Words
I hope ki ab aap samajh gaye hone ki Apne Android App se paise kaise kamate hai.I am sure aapko ye post achi lagi hogi.Aapko is post se related kuch bhi puchna ho toh aap hume comment karke jarur puchiye aur is post ko apne dosto ko share jarur kare.Humesha aisi nayi aur useful jaankari jaane ke liyr humare blog ke sath jude rahiye. 😊
No comments:
Post a Comment